Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yahan-wahan se idhar-udhar se na jaane kaise kahan se nikle

Aftab Shakeel

yahan-wahan se idhar-udhar se na jaane kaise kahan se nikle

Aftab Shakeel

MORE BYAftab Shakeel

    yahāñ-vahāñ se idhar-udhar se na jaane kaise kahāñ se nikle

    ḳhushī se jiine justujū meñ hazār ġham ek jaañ se nikle

    ye kamtarī bartarī ke fitne ye ām-o-ālā ke sard jhagḌe

    hamīñ ne naazo se dil meñ paale hamāre darmiyāñ se nikle

    ḳhulūs guftugū to chhoḌo kisī ko fursat nahīñ hai ḳhud se

    miyāñ ġhanīmat samajh lo shikve agar kisī zabāñ se nikle

    jo ba.ad muddat milā kahīñ vo gile yuuñ āñkhoñ se us ubhre

    ke jaise patthar sadī purāne kisī shikasta makāñ se nikle

    ye shahr-e-ġham galī galī meñ jo ḳhvār phirte haiñ kuchh divāne

    kabhī hue haiñ jahāñ se rusvā kabhī tire āstāñ se nikle

    yahan-wahan se idhar-udhar se na jaane kaise kahan se nikle

    KHushi se jine ki justuju mein hazar gham ek jaan se nikle

    ye kamtari bartari ke fitne ye aam-o-ala ke sard jhagDe

    hamin ne nazo se dil mein pale hamare hi darmiyan se nikle

    KHulus ki guftugu to chhoDo kisi ko fursat nahin hai KHud se

    miyan ghanimat samajh lo shikwe agar kisi ki zaban se nikle

    jo baad muddat mila kahin wo gile yun aankhon se us ki ubhre

    ke jaise patthar sadi purane kisi shikasta makan se nikle

    ye shahr-e-gham ki gali gali mein jo KHwar phirte hain kuchh diwane

    kabhi hue hain jahan se ruswa kabhi tere aastan se nikle

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now