yahan zindagi ke sahaare bahut hain
yahāñ zindagī ke sahāre bahut haiñ
jo hai ik bhañvar to kināre bahut haiñ
ye maanā ki tum ho sake na kisī ke
magar is jahāñ meñ tumhāre bahut haiñ
tirī chāhatoñ ke tufail ai ḳhudāyā
jahāñ meñ tire ġham ke maare bahut haiñ
kabhī TūTte haiñ jo ranjoñ ke bādal
falak par ubharte sitāre bahut haiñ
kabhī aisā lagtā hai koī nahīñ hai
kabhī yuuñ huā ki hamāre bahut haiñ
ġharībī jahālat tashaddud taraqqī
siyāsat kī duniyā meñ na.are bahut haiñ
hamāre ḳhayāloñ meñ shabnam ke motī
haqīqat meñ 'zāhid' sharāre bahut haiñ
yahan zindagi ke sahaare bahut hain
jo hai ek bhanwar to kinare bahut hain
ye mana ki tum ho sake na kisi ke
magar is jahan mein tumhaare bahut hain
teri chahaton ke tufail ai KHudaya
jahan mein tere gham ke mare bahut hain
kabhi TuTte hain jo ranjon ke baadal
falak par ubharte sitare bahut hain
kabhi aisa lagta hai koi nahin hai
kabhi yun hua ki hamare bahut hain
gharibi jahaalat tashaddud taraqqi
siyasat ki duniya mein nare bahut hain
hamare KHayalon mein shabnam ke moti
haqiqat mein 'zahid' sharare bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.