yahi arman yahi shauq hai diwane ka
yahi arman yahi shauq hai diwane ka
Anwar-ul-Haq Ahmar Lucknowi
MORE BYAnwar-ul-Haq Ahmar Lucknowi
yahī armān yahī shauq hai dīvāne kā
rang phīkā na paḌe ishq ke afsāne kā
bāda-ḳhvāroñ ko tire hosh abhī baaqī hai
daur chaltā rahe saaqī yūñhī paimāne kā
bahr-e-ulfat se huā paar safīna merā
qasd jab kar liyā tūfān se Takrāne kā
bijliyāñ ġham kī girīñ ḳhirman-e-dil par mere
silsila ḳhatm huā aap se yārāne kā
manzar-e-bāda-kashī yuuñ to bahut dekhā hai
rang kuchh aur hai saaqī tire maiḳhāne kā
merī ulfat kā yaqīn un ko na aa.e lekin
shikva hargiz na karūñgā kabhī jhuTlāne kā
ek sajde meñ mohabbat ke jabīñ par apnī
khīñch laayā huuñ maiñ naqsha tire kāshāne kā
us ke raste meñ raqīboñ ne bichhā.e kāñTe
va.ada us but ne kiyā jab bhī kabhī aane kā
qais-o-farhād ke qisse bhī sune haiñ lekin
Dhang kuchh aur hai 'ahmar' tere afsāne kā
yahi arman yahi shauq hai diwane ka
rang phika na paDe ishq ke afsane ka
baada-KHwaron ko tere hosh abhi baqi hai
daur chalta rahe saqi yunhi paimane ka
bahr-e-ulfat se hua par safina mera
qasd jab kar liya tufan se Takrane ka
bijliyan gham ki girin KHirman-e-dil par mere
silsila KHatm hua aap se yarane ka
manzar-e-baada-kashi yun to bahut dekha hai
rang kuchh aur hai saqi tere maiKHane ka
meri ulfat ka yaqin un ko na aae lekin
shikwa hargiz na karunga kabhi jhuTlane ka
ek sajde mein mohabbat ke jabin par apni
khinch laya hun main naqsha tere kashane ka
us ke raste mein raqibon ne bichhae kanTe
wada us but ne kiya jab bhi kabhi aane ka
qais-o-farhad ke qisse bhi sune hain lekin
Dhang kuchh aur hai 'ahmar' tere afsane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.