yahi bahut hai hawa mein abhi nishan mera hai
yahī bahut hai havā meñ abhī nishāñ mirā hai
diye kī lau se ye uThtā huā dhuāñ mirā hai
jo tere saath khaḌe haiñ vo tere saath nahīñ
tujhe maiñ kaise batā.ūñ fulāñ fulāñ mirā hai
tū kund ḳhanjar-o-talvār se hī kaaT mujhe
mire adū na pareshāñ ho imtihāñ mirā hai
maiñ jab bhī chāhūñ use bāzūoñ meñ bhar lūñgā
vo shaḳhs jitnā bhī hai mujh se bad-gumāñ mirā hai
havā kā ḳhauf bañdhā hai mire paroñ se magar
maiñ mutma.in huuñ ki peḌ aisā sā.ebāñ mirā hai
yahi bahut hai hawa mein abhi nishan mera hai
diye ki lau se ye uThta hua dhuan mera hai
jo tere sath khaDe hain wo tere sath nahin
tujhe main kaise bataun fulan fulan mera hai
tu kund KHanjar-o-talwar se hi kaT mujhe
mere adu na pareshan ho imtihan mera hai
main jab bhi chahun use bazuon mein bhar lunga
wo shaKHs jitna bhi hai mujh se bad-guman mera hai
hawa ka KHauf bandha hai mere paron se magar
main mutmain hun ki peD aisa saeban mera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.