yahi dua hai yahi aarzu dikhai de
yahī du'ā hai yahī aarzū dikhā.ī de
haTe ye ḳhaak mujhe ḳhūb-rū dikhā.ī de
banā ke rakkhī hai tasvīr jo ḳhayāloñ meñ
maiñ chāhtī huuñ koī hū-ba-hū dikhā.ī de
dhaḌakte dil se sadā aa rahī hai bas itnī
maiñ aañkh band karūñ aur tū dikhā.ī de
yahī du'ā hai ḳhudā se falak ke chāñd ke baa'd
zamīñ kā chāñd mujhe rū-ba-rū dikhā.ī de
na khel pā.egā 'izzat se khelne vaalā
agar bahan kī use aabrū dikhā.ī de
namāz-e-'ishq adā ho nahīñ sakī ab tak
tulū’-e-shams kī kuchh justujū dikhā.ī de
du'ā ye kartī hī rahtī huuñ 'yāsmīñ' har dam
jise maiñ chāhūñ vahī kū-ba-kū dikhā.ī de
yahi du'a hai yahi aarzu dikhai de
haTe ye KHak mujhe KHub-ru dikhai de
bana ke rakkhi hai taswir jo KHayalon mein
main chahti hun koi hu-ba-hu dikhai de
dhaDakte dil se sada aa rahi hai bas itni
main aankh band karun aur tu dikhai de
yahi du'a hai KHuda se falak ke chand ke ba'd
zamin ka chand mujhe ru-ba-ru dikhai de
na khel paega 'izzat se khelne wala
agar bahan ki use aabru dikhai de
namaz-e-'ishq ada ho nahin saki ab tak
tulu’-e-shams ki kuchh justuju dikhai de
du'a ye karti hi rahti hun 'yasmin' har dam
jise main chahun wahi ku-ba-ku dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.