yahi gar husn ka aalam rahega
yahī gar husn kā aalam rahegā
to zaḳhm-e-ishq be-marham rahegā
na de ai nāseh-e-mushfiq tasallī
ki jab tak ham raheñge ġham rahegā
hai jis ke dam se ye hangāma-e-ishq
vahī har dam rahā har dam rahegā
bashar yaañ sej par phūloñ kī kab tak
misāl-e-qatra-e-shabnam rahegā
ġham-e-dil dene vaale sach batānā
tujhe bhī kuchh hamārā ġham rahegā
nihāl-e-ishq ko shādāb kar luuñ
phir in āñkhoñ meñ kab tak nam rahegā
tumhārī yaad har dam taaza hogī
hamāre dam meñ jab tak dam rahegā
dayār-e-yār kā milnā hai mushkil
jo ye rāhoñ kā pech-o-ḳham rahegā
nishāñ baaqī na hogā bazm-e-jam kā
magar gardish meñ jām-e-jam rahegā
yahī parvāz hai us kī to kab tak
banī-ādam banī-ādam rahegā
ye hindī se farañgī kah rahā thā
ki jab tak tum rahoge ham rahegā
dam-e-ruḳhsat vo kahte the ki 'nāzir'
tire jaane kā ham ko ġham rahegā
yahi gar husn ka aalam rahega
to zaKHm-e-ishq be-marham rahega
na de ai naseh-e-mushfiq tasalli
ki jab tak hum rahenge gham rahega
hai jis ke dam se ye hangama-e-ishq
wahi har dam raha har dam rahega
bashar yan sej par phulon ki kab tak
misal-e-qatra-e-shabnam rahega
gham-e-dil dene wale sach batana
tujhe bhi kuchh hamara gham rahega
nihaal-e-ishq ko shadab kar lun
phir in aankhon mein kab tak nam rahega
tumhaari yaad har dam taza hogi
hamare dam mein jab tak dam rahega
dayar-e-yar ka milna hai mushkil
jo ye rahon ka pech-o-KHam rahega
nishan baqi na hoga bazm-e-jam ka
magar gardish mein jam-e-jam rahega
yahi parwaz hai us ki to kab tak
bani-adam bani-adam rahega
ye hindi se farangi kah raha tha
ki jab tak tum rahoge hum rahega
dam-e-ruKHsat wo kahte the ki 'nazir'
tere jaane ka hum ko gham rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.