yahi guman ghumta hai KHema-e-KHayal mein
yahī gumān ghūmtā hai ḳhema-e-ḳhayāl meñ
nigāh ġharq ho ga.ī hai kis ke ḳhadd-o-ḳhāl meñ
maiñ haal apnā dosto tumheñ sunā.ūñ kis tarah
taḌap taḌap ke jī rahā huuñ siskiyoñ ke jaal meñ
ki raat kī sī tīrgī hai sub.h kī numūd meñ
ki hijr kī sī lazzateñ haiñ ab tire visāl meñ
na-jāne kis ke haath se milā hai ham ko surḳh phuul
na-jāne kis kā haath hai hamāre intiqāl meñ
unheñ kabhī ḳhayāl tak nahīñ huā visāl kā
hamārī 'umr kaT ga.ī visāl ke ḳhayāl meñ
udāsiyāñ isī liye bhī ḳhuun meñ bahut haiñ aaj
tirā malāl aa girā hai mere dil ke thaal meñ
tū DhūñDhtā hai kis liye javāb is kā dar-ba-dar
tirā javāb to nihāñ hai tere hī savāl meñ
yahi guman ghumta hai KHema-e-KHayal mein
nigah gharq ho gai hai kis ke KHadd-o-KHal mein
main haal apna dosto tumhein sunaun kis tarah
taDap taDap ke ji raha hun siskiyon ke jal mein
ki raat ki si tirgi hai subh ki numud mein
ki hijr ki si lazzaten hain ab tere visal mein
na-jaane kis ke hath se mila hai hum ko surKH phul
na-jaane kis ka hath hai hamare intiqal mein
unhen kabhi KHayal tak nahin hua visal ka
hamari 'umr kaT gai visal ke KHayal mein
udasiyan isi liye bhi KHun mein bahut hain aaj
tera malal aa gira hai mere dil ke thaal mein
tu DhunDhta hai kis liye jawab is ka dar-ba-dar
tera jawab to nihan hai tere hi sawal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.