yahi hain barq ki jaulaniyan to aashiyan kab tak
yahī haiñ barq kī jaulāniyāñ to āshiyāñ kab tak
uThegā ḳhāk-e-parvāna se mahfil meñ dhuāñ kab tak
ġham-e-sayyād ḳhauf-e-barq fikr-e-āshiyāñ kab tak
uThā.egī ye sadme ek jān-e-nā-tavāñ kab tak
yahī hai dard-e-roz-afzūñ yahī betābi-e-paiham
to ye rāz-e-mohabbat raaz kab tak rāz-dāñ kab tak
tirī nazroñ ko bhī jhuknā paḌegā ḳhud-baḳhud ik din
mire dukhte hue dil kī duā.eñ rā.egāñ kab tak
ziyā-e-husn har zarre ko ik din jagmagā degī
tire jalvoñ ko rokeñge hudūd-e-lā-makāñ kab tak
ḳhabar bhī hai tujhe betābī-e-dil baḌhtī jaatī hai
ḳhudā jaane rahegī mere qaabū meñ zabāñ kab tak
zarā apne taġhāful kī nihāyat bhī batā diije
rahegā mūrid-e-ilzām majbūr-e-fuġhāñ kab tak
ye mahrūmī na jaane kis ke qadmoñ par girā degī
nigāh-e-shauq DhūñDegī kisī kā āstāñ kab tak
vo jalve phir vo jalve haiñ vo nazreñ phir vo nazreñ haiñ
dil-e-nādāñ yaqīn-e-hastī-e-tāb-o-tavāñ kab tak
bisāt-e-dil hai kyā naqsha badal jā.egā duniyā kā
ye āñkheñ haiñ ye nazreñ haiñ to tanzīm-e-jahāñ kab tak
mohabbat ḳhud-baḳhud ik din har ik parda uThā degī
'munīr' is dil se vo bad-zan dil un se bad-gumāñ kab tak
yahi hain barq ki jaulaniyan to aashiyan kab tak
uThega KHak-e-parwana se mahfil mein dhuan kab tak
gham-e-sayyaad KHauf-e-barq fikr-e-ashiyan kab tak
uThaegi ye sadme ek jaan-e-na-tawan kab tak
yahi hai dard-e-roz-afzun yahi betabi-e-paiham
to ye raaz-e-mohabbat raaz kab tak raaz-dan kab tak
teri nazron ko bhi jhukna paDega KHud-baKHud ek din
mere dukhte hue dil ki duaen raegan kab tak
ziya-e-husn har zarre ko ek din jagmaga degi
tere jalwon ko rokenge hudud-e-la-makan kab tak
KHabar bhi hai tujhe betabi-e-dil baDhti jati hai
KHuda jaane rahegi mere qabu mein zaban kab tak
zara apne taghaful ki nihayat bhi bata dije
rahega murid-e-ilzam majbur-e-fughan kab tak
ye mahrumi na jaane kis ke qadmon par gira degi
nigah-e-shauq DhunDegi kisi ka aastan kab tak
wo jalwe phir wo jalwe hain wo nazren phir wo nazren hain
dil-e-nadan yaqin-e-hasti-e-tab-o-tawan kab tak
bisat-e-dil hai kya naqsha badal jaega duniya ka
ye aankhen hain ye nazren hain to tanzim-e-jahan kab tak
mohabbat KHud-baKHud ek din har ek parda uTha degi
'munir' is dil se wo bad-zan dil un se bad-guman kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.