Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yahi hisab-e-mohabbat dobara kar ke lao

Farhat Ehsas

yahi hisab-e-mohabbat dobara kar ke lao

Farhat Ehsas

MORE BYFarhat Ehsas

    yahī hisāb-e-mohabbat dobāra kar ke laao

    jahāñ jahāñ hai munāfe.a ḳhasāra kar ke laao

    barāh-e-rāst na chhūnā kabhī vo sho.ala-e-tūr

    zarā zarā use isti.āra kar ke laao

    badan se phuuT paḌā us ruuh sailāb

    to jaao us ko badan kināra kar ke laao

    na.e visāl ḳhātir guzāro iddat-e-hijr

    aur apne dil ko dobāra kañvārā kar ke laao

    dayār-e-ishq meñ aur itne karr-o-far ke saath

    badan ko toḌ ke dil ko bechāra kar ke laao

    baḌā yaqīñ hai mohabbat ke mo.ajizoñ pe tumheñ

    to lo ye qatra-e-ashk aur sitāra kar ke laao

    yahi hisab-e-mohabbat dobara kar ke lao

    jahan jahan hai munafea KHasara kar ke lao

    barah-e-rast na chhuna kabhi wo shoala-e-tur

    zara zara sa use istiara kar ke lao

    badan se phuT paDa us ki ruh ka sailab

    to jao us ko badan ka kinara kar ke lao

    nae visal ki KHatir guzaro iddat-e-hijr

    aur apne dil ko dobara kanwara kar ke lao

    dayar-e-ishq mein aur itne karr-o-far ke sath

    badan ko toD ke dil ko bechaara kar ke lao

    baDa yaqin hai mohabbat ke moajizon pe tumhein

    to lo ye qatra-e-ashk aur sitara kar ke lao

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now