yahi ek muKHtasar si dastan sab ko sunani hai
yahi ek muKHtasar si dastan sab ko sunani hai
Prem Dhingra Bhatneri
MORE BYPrem Dhingra Bhatneri
yahī ik muḳhtasar sī dāstāñ sab ko sunānī hai
har ik mausam meñ ḳhush rahnā yahī to zindagānī hai
mire dil par huī dastak na jaane kaun aayā hai
fazā kī āhaToñ meñ aaj ḳhushbū zāfrānī hai
tumheñ jab mujh se milnā ho to apne aap se mil lo
tumhāre dil meñ rahtā huuñ tumhārī baat maanī hai
kahīñ baalū kahīñ patthar kahīñ kaTte kināre haiñ
koī kuchh bhī nahīñ kahtā ye dariyā kī ravānī hai
dikhātā hai jo sab ko rāsta duniyā meñ socho to
ye us kā hī ishāra hai usī kī mehrbānī hai
chhupā.ūñ kis tarah ḳhud ko maiñ in naqlī naqāboñ meñ
haqīqat sāmne ik roz yaaro aa hī jaanī hai
yahi ek muKHtasar si dastan sab ko sunani hai
har ek mausam mein KHush rahna yahi to zindagani hai
mere dil par hui dastak na jaane kaun aaya hai
faza ki aahaTon mein aaj KHushbu zafrani hai
tumhein jab mujh se milna ho to apne aap se mil lo
tumhaare dil mein rahta hun tumhaari baat mani hai
kahin baalu kahin patthar kahin kaTte kinare hain
koi kuchh bhi nahin kahta ye dariya ki rawani hai
dikhata hai jo sab ko rasta duniya mein socho to
ye us ka hi ishaara hai usi ki mehrbani hai
chhupaun kis tarah KHud ko main in naqli naqabon mein
haqiqat samne ek roz yaro aa hi jaani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.