yahi jo aaj hain Khaaron pe chalne wale log
yahī jo aaj haiñ ḳhāroñ pe chalne vaale log
kabhī the chāñd sitāroñ pe chalne vaale log
inheñ shu.ūr nahīñ kis taraf ko jaate haiñ
ye sab haiñ josh meñ na.aroñ pe chalne vaale log
sulagtī ret ho neza ho āg-o-dariyā ho
haiñ merī qaum meñ chāroñ pe chalne vaale log
zabān kaise samajh pā.eñge azīmat kī
ye maslahat ke ishāroñ pe chalne vaale log
junūn-e-ishq ke māroñ kī hai yahī tamsīl
hoñ jaise bijlī ke tāroñ pe chalne vaale log
bhaTak rahā hai añdhere meñ haq ki mil jaa.eñ
chamaktī teġh kī dhāroñ pe chalne vaale log
'nabīl' pyaar kī ik jhiil thā magar afsos
samajh sake na kināroñ pe chalne vaale log
yahi jo aaj hain KHaron pe chalne wale log
kabhi the chand sitaron pe chalne wale log
inhen shuur nahin kis taraf ko jate hain
ye sab hain josh mein naron pe chalne wale log
sulagti ret ho neza ho aag-o-dariya ho
hain meri qaum mein chaaron pe chalne wale log
zaban kaise samajh paenge azimat ki
ye maslahat ke ishaaron pe chalne wale log
junun-e-ishq ke maron ki hai yahi tamsil
hon jaise bijli ke taron pe chalne wale log
bhaTak raha hai andhere mein haq ki mil jaen
chamakti tegh ki dhaaron pe chalne wale log
'nabil' pyar ki ek jhil tha magar afsos
samajh sake na kinaron pe chalne wale log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.