yahi justuju ka kamal hai yahi aagahi ki talash hai
yahī justujū kā kamāl hai yahī āgahī kī talāsh hai
use samho apnī talāsh tum jo tumheñ kisī kī talāsh hai
yahī aa.ina hai vo ā.īna jo liye hai jalva-e-āgahī
ye jo shā.erī kā shu.ūr hai ye payambarī kī talāsh hai
vo masarratoñ kā hujūm kyā jo tavāf-e-ishq-o-tarab kare
vo ḳhushī jo auroñ ko de sakūñ mujhe us ḳhushī kī talāsh hai
ye jo pastiyāñ haiñ uruuj kī ye tabāhiyāñ jo haiñ zehn kī
koī rāhbar hai to aa.e phir unheñ rāhbarī kī talāsh hai
mirī zindagī mirī shā.erī hai haqīqatoñ kā ik ā.īna
ye 'matīn' ġham jo aziiz hai ye mirī kabhī kī talāsh hai
yahi justuju ka kamal hai yahi aagahi ki talash hai
use samho apni talash tum jo tumhein kisi ki talash hai
yahi aaina hai wo aaina jo liye hai jalwa-e-agahi
ye jo shaeri ka shuur hai ye payambari ki talash hai
wo masarraton ka hujum kya jo tawaf-e-ishq-o-tarab kare
wo KHushi jo auron ko de sakun mujhe us KHushi ki talash hai
ye jo pastiyan hain uruj ki ye tabahiyan jo hain zehn ki
koi rahbar hai to aae phir unhen rahbari ki talash hai
meri zindagi meri shaeri hai haqiqaton ka ek aaina
ye 'matin' gham jo aziz hai ye meri kabhi ki talash hai
- Book : Fikr-e-mateen (Pg. 135)
- Author : Dr. Mateen Niyazi
- Publication : Dr. Mateen Niyazi (1986)
- Edition : 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.