yahi kaghaz yahi qalam hoga
yahī kāġhaz yahī qalam hogā
roz ik vāqi.a raqam hogā
abhī bhīgeñgī aur bhī palkeñ
abhī āñchal kuchh aur nam hogā
merī hālat use na batlānā
vo sunegā to us ko ġham hogā
mere ḳhvāboñ kā merī āñkhoñ meñ
kyā vajūd aur kyā adam hogā
us se milnā bahut zarūrī hai
dard kuchh to 'sabīha' kam hogā
yahi kaghaz yahi qalam hoga
roz ek waqia raqam hoga
abhi bhigengi aur bhi palken
abhi aanchal kuchh aur nam hoga
meri haalat use na batlana
wo sunega to us ko gham hoga
mere KHwabon ka meri aankhon mein
kya wajud aur kya adam hoga
us se milna bahut zaruri hai
dard kuchh to 'sabiha' kam hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.