yahi kaha tha ki KHasta-zaban mein baat na kar
yahi kaha tha ki KHasta-zaban mein baat na kar
Mukarram Husain Awan Zamzam
MORE BYMukarram Husain Awan Zamzam
yahī kahā thā ki ḳhasta-zabāñ meñ baat na kar
ab itnī baat pe tark-e-ta'alluqāt na kar
tumheñ sikhā diyā thā ham ne dil-lagī kā hunar
ḳhudā kā naam le ab yuuñ hamāre saath na kar
mujhe ḳhabar hai ki ehsāñ asiir kartā hai
tū aisā kar ki mujhe bār-e-iltifāt na kar
usī ke duudh se tū ne javānī paa.ī hai
muhāfizā usī bastī meñ vārdāt na kar
hamārī billī hameñ myā.un myā.un kartī hai kyā
hudūd-e-zāt meñ rah yuuñ tajāvuzāt na kar
ġharīb-e-shām kī tarkīb musta'ār le le
palīd zikr se guftār-e-vāhiyāt na kar
maiñ jāntā huuñ kināra-kashī ko aayā hai
tū apnā hukm sunā yuuñ guzārishāt na kar
abhī piyāda sar-e-shāh kā muhāfiz hai
abhī bisāt palaT dūñgā shah ko maat na kar
kisī 'azīz ko hai intizār ai 'zamzam'
javān zindagī hai nazr-e-hādsāt na kar
yahi kaha tha ki KHasta-zaban mein baat na kar
ab itni baat pe tark-e-ta'alluqat na kar
tumhein sikha diya tha hum ne dil-lagi ka hunar
KHuda ka nam le ab yun hamare sath na kar
mujhe KHabar hai ki ehsan asir karta hai
tu aisa kar ki mujhe bar-e-iltifat na kar
usi ke dudh se tu ne jawani pai hai
muhafiza usi basti mein wardat na kar
hamari billi hamein myaun myaun karti hai kya
hudud-e-zat mein rah yun tajawuzat na kar
gharib-e-sham ki tarkib musta'ar le le
palid zikr se guftar-e-wahiyat na kar
main jaanta hun kinara-kashi ko aaya hai
tu apna hukm suna yun guzarishat na kar
abhi piyaada sar-e-shah ka muhafiz hai
abhi bisat palaT dunga shah ko mat na kar
kisi 'aziz ko hai intizar ai 'zamzam'
jawan zindagi hai nazr-e-hadsat na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.