yahi muamma mere pesh-o-pas paDa hua hai
yahī muamma mire pesh-o-pas paḌā huā hai
mirā badan hai ki miTTī meñ ḳhas paḌā huā hai
maiñ ek naqsh banātā huuñ ik nigaltā huuñ
mirā hunar pas-e-hirs-o-havas paḌā huā hai
koī bhī peḌ jo dekhūñ to aisā lagtā hai
parindagī ke liye ik qafas paḌā huā hai
ḳhudā-e-arz use ab to shakl de koī
mirā vajūd tah-e-ḳhāk-o-ḳhas paḌā huā hai
jo ho sake to inheñ bhī uThā ke le jaanā
hamārī mez pe ek ik baras paḌā huā hai
havā kī sāzisheñ apnī jagah magar 'fāḳhir'
shajar kī shāḳhoñ meñ ab ke bhī ras paḌā huā hai
yahi muamma mere pesh-o-pas paDa hua hai
mera badan hai ki miTTi mein KHas paDa hua hai
main ek naqsh banata hun ek nigalta hun
mera hunar pas-e-hirs-o-hawas paDa hua hai
koi bhi peD jo dekhun to aisa lagta hai
parindagi ke liye ek qafas paDa hua hai
KHuda-e-arz use ab to shakl de koi
mera wajud tah-e-KHak-o-KHas paDa hua hai
jo ho sake to inhen bhi uTha ke le jaana
hamari mez pe ek ek baras paDa hua hai
hawa ki sazishen apni jagah magar 'faKHir'
shajar ki shaKHon mein ab ke bhi ras paDa hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.