yahi mushkil hai wo mushkil ko aasani samajhta hai
yahī mushkil hai vo mushkil ko āsānī samajhtā hai
hamāre ḳhuun ko bhī ḳhuun kab paanī samajhtā hai
mohabbat meñ ye pāgal-pan mirī to ik nahīñ suntā
tirī nārāzgī ko ḳhanda-peshānī samajhtā hai
kisī ko bhī samajh aatā nahīñ bāhar kī duniyā meñ
magar ye dil to andar kī bayābānī samajhtā hai
lagā kar jaan se rakhtā hai jān-o-māl tū apnā
hameñ qurbān karne ko hī qurbānī samajhtā hai
samundar kī ġhalat-fahmī kā andāza nahīñ tujh ko
vo bādal ko mirī āñkhoñ kī tuġhyānī samajhtā hai
kahīñ achchhā hai sannāToñ se pahroñ guftugū karnā
vo is bāzār kī raunaq ko vīrānī samajhtā hai
yahī darvesh kī kuTiyā hai qasr-e-qaisar-o-kisrā
vo apne jhoñpaḌe ko qasr-e-sultānī samajhtā hai
hamārā ishq pahle din se sarpaT bhāgtā ghoḌā
vo in sañglāḳh rastoñ ko bhī maidānī samajhtā hai
añdherā raat bhar masrūf pech-o-tāb khāne meñ
diye kī phaḌphaḌāhaT ko bhī man-mānī samajhtā hai
sarāsar ranj hai saare kā saarā is ta'alluq meñ
sitam to ye hai is ko bhī meherbānī samajhtā hai
yahi mushkil hai wo mushkil ko aasani samajhta hai
hamare KHun ko bhi KHun kab pani samajhta hai
mohabbat mein ye pagal-pan meri to ek nahin sunta
teri naraazgi ko KHanda-peshani samajhta hai
kisi ko bhi samajh aata nahin bahar ki duniya mein
magar ye dil to andar ki bayabani samajhta hai
laga kar jaan se rakhta hai jaan-o-mal tu apna
hamein qurban karne ko hi qurbani samajhta hai
samundar ki ghalat-fahmi ka andaza nahin tujh ko
wo baadal ko meri aankhon ki tughyani samajhta hai
kahin achchha hai sannaTon se pahron guftugu karna
wo is bazar ki raunaq ko virani samajhta hai
yahi darwesh ki kuTiya hai qasr-e-qaisar-o-kisra
wo apne jhonpaDe ko qasr-e-sultani samajhta hai
hamara ishq pahle din se sarpaT bhagta ghoDa
wo in sanglaKH raston ko bhi maidani samajhta hai
andhera raat bhar masruf pech-o-tab khane mein
diye ki phaDphaDahaT ko bhi man-mani samajhta hai
sarasar ranj hai sare ka sara is ta'alluq mein
sitam to ye hai is ko bhi meherbani samajhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.