yahi nahin hai ki shanon se KHun bahta hai
yahī nahīñ hai ki shānoñ se ḳhuun bahtā hai
abhī to apnī miyānoñ se ḳhuun bahtā hai
vo gaal surḳh hue hoñ to yuuñ lageñ jaise
safed reshmī thānoñ se ḳhuun bahtā hai
ye ḳhāmushī vo balā hai ki chīḳh uTThe agar
to sunñe vāloñ ke kānoñ se ḳhuun bahtā hai
hamāre ḳhvāb paTakte haiñ yuuñ hamāre sar
tamām raat sirhānoñ se ḳhuun bahtā hai
vo jañg jiit ke ūñToñ kā ruḳh badalne lage
abhī to un kī machānoñ se ḳhuun bahtā hai
ye apne daur ke sab se baḌe munāfiq haiñ
isī liye to zabānoñ se ḳhuun bahtā hai
tamām vaqt guzartā hai zaḳhm sahlāte
tarah tarah ke bahānoñ se ḳhuun bahtā hai
hameñ to ilm sikhāyā nahīñ hai thoñpā hai
hamāre ilmī ḳhazānoñ se ḳhuun bahtā hai
na jaane kitne zamāne guzar ga.e sāhir
na jaane kitne zamānoñ se ḳhuun bahtā hai
yahi nahin hai ki shanon se KHun bahta hai
abhi to apni miyanon se KHun bahta hai
wo gal surKH hue hon to yun lagen jaise
safed reshmi thanon se KHun bahta hai
ye KHamushi wo bala hai ki chiKH uTThe agar
to sunne walon ke kanon se KHun bahta hai
hamare KHwab paTakte hain yun hamare sar
tamam raat sirhanon se KHun bahta hai
wo jang jit ke unTon ka ruKH badalne lage
abhi to un ki machanon se KHun bahta hai
ye apne daur ke sab se baDe munafiq hain
isi liye to zabanon se KHun bahta hai
tamam waqt guzarta hai zaKHm sahlate
tarah tarah ke bahanon se KHun bahta hai
hamein to ilm sikhaya nahin hai thonpa hai
hamare ilmi KHazanon se KHun bahta hai
na jaane kitne zamane guzar gae sahir
na jaane kitne zamanon se KHun bahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.