yahi nahin ki faqat baam-o-dar se bach ke chalun
yahī nahīñ ki faqat bām-o-dar se bach ke chalūñ
talāsh-e-yār meñ shams-o-qamar se bach ke chalūñ
ye rañg-o-nūr haiñ dāman-kash-e-hayāt magar
hai maslahat kā taqāzā udhar se bach ke chalūñ
ye pech-o-ḳham ye nasheb-o-farāz-e-rāh-e-hayāt
kahāñ se ho ke chalūñ aur kidhar se bach ke chalūñ
jo saath de na sake tā-harīm-e-jalva-e-nāz
maiñ chāhtā huuñ har us rahguzar se bach ke chalūñ
jahāñ jabīñ ko na hāsil ho rif.at-e-aflāk
us āstāne se us sañg-e-dar se bach ke chalūñ
maiñ mutma.in nahīñ raftār-e-kārvāñ se hanūz
ḳhatā muaaf agar rāhbar se bach ke chalūñ
maiñ rañg-e-gardish-e-daurāñ ko dekh kar 'at.har'
ye sochtā huuñ ki shām-o-sahar se bach ke chalūñ
yahi nahin ki faqat baam-o-dar se bach ke chalun
talash-e-yar mein shams-o-qamar se bach ke chalun
ye rang-o-nur hain daman-kash-e-hayat magar
hai maslahat ka taqaza udhar se bach ke chalun
ye pech-o-KHam ye nasheb-o-faraaz-e-rah-e-hayat
kahan se ho ke chalun aur kidhar se bach ke chalun
jo sath de na sake ta-harim-e-jalwa-e-naz
main chahta hun har us rahguzar se bach ke chalun
jahan jabin ko na hasil ho rifat-e-aflak
us aastane se us sang-e-dar se bach ke chalun
main mutmain nahin raftar-e-karwan se hanuz
KHata muaf agar rahbar se bach ke chalun
main rang-e-gardish-e-dauran ko dekh kar 'athar'
ye sochta hun ki sham-o-sahar se bach ke chalun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.