yahi qusur tha us but ki aarzu ki thi
yahī qusūr thā us but kī aarzū kī thī
milā vahī na kabhī jis kī justujū kī thī
ba-rang-e-ġhuncha zabāñ band hai ab tak merī
vo baat kab kī hai jab gul se guftugū kī thī
girīñ vahīñ pe zamāne kī bijliyāñ āḳhir
jahāñ binā-e-gulistān-e-rang-o-bū kī thī
hameñ miTāne ke darpe huā hai kyoñ āḳhir
zamāne ham ne tirī ham-navā.ī ḳhū kī thī
ġhubār uḌtā hai ham ne jahāñ pe yāroñ meñ
maze uḌaa.e the aur mil ke hā-o-hū kī thī
samajh ke us ko bhī ġham-ḳhvār-o-ham-navā 'rizvāñ'
hadīs-e-dil kisī dilbar ke rū-ba-rū kī thī
yahi qusur tha us but ki aarzu ki thi
mila wahi na kabhi jis ki justuju ki thi
ba-rang-e-ghuncha zaban band hai ab tak meri
wo baat kab ki hai jab gul se guftugu ki thi
girin wahin pe zamane ki bijliyan aaKHir
jahan bina-e-gulistan-e-rang-o-bu ki thi
hamein miTane ke darpe hua hai kyon aaKHir
zamane hum ne teri ham-nawai KHu ki thi
ghubar uDta hai hum ne jahan pe yaron mein
maze uDae the aur mil ke ha-o-hu ki thi
samajh ke us ko bhi gham-KHwar-o-ham-nawa 'rizwan'
hadis-e-dil kisi dilbar ke ru-ba-ru ki thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.