yahi sochte hain aksar kahan aa gae KHushi mein
yahī sochte haiñ aksar kahāñ aa ga.e ḳhushī meñ
ki ye din guzar rahe haiñ jo hisār-e-be-ḳhudī meñ
ye safar hai aarzū kā yahāñ dhūp-chhāñv bhī hai
kabhī dil meñ raushnī hai kabhī dil hai raushnī meñ
vahī deñge ab ujālā tire qalb be-ḳhabar ko
jo charāġh jal uThe haiñ mirī shām-e-zindagī meñ
mujhe e'tibār-e-ulfat tumheñ hai yaqīn merā
koī mil sakā na tum sā mujhe saarī zindagī meñ
tire saath hai kuchh aisā mirī jur.atoñ kā aalam
koī Dar hai zindagī meñ na hai ḳhauf koī jī meñ
tirā naam paḌh rahī huuñ tirā naam likh rahī huuñ
maiñ tujhe samo rahī huuñ mire zauq-e-shā.irī meñ
mirī zaat ko sajāne koī aa.ina na denā
mirā husn jalva-gar hai abhī 'tāj' sādgī meñ
yahi sochte hain aksar kahan aa gae KHushi mein
ki ye din guzar rahe hain jo hisar-e-be-KHudi mein
ye safar hai aarzu ka yahan dhup-chhanw bhi hai
kabhi dil mein raushni hai kabhi dil hai raushni mein
wahi denge ab ujala tere qalb be-KHabar ko
jo charagh jal uThe hain meri sham-e-zindagi mein
mujhe e'tibar-e-ulfat tumhein hai yaqin mera
koi mil saka na tum sa mujhe sari zindagi mein
tere sath hai kuchh aisa meri juraton ka aalam
koi Dar hai zindagi mein na hai KHauf koi ji mein
tera nam paDh rahi hun tera nam likh rahi hun
main tujhe samo rahi hun mere zauq-e-shairi mein
meri zat ko sajaane koi aaina na dena
mera husn jalwa-gar hai abhi 'taj' sadgi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.