yahi surat rahi to
yahī sūrat rahī to
guzar lī zindagī to
hai duniyā jab ye duniyā
rahegī kuchh kamī to
ai fursat itnī fursat
milūñ ḳhud se kabhī to
mujhe be-ḳhvāb kar de
ki so luuñ do ghaḌī to
bas ab ik qahqaha huuñ
kahīñ kho dī hañsī to
lahū aañsū ki paanī
hai palkoñ tak namī to
ye maiñ hī chīḳh uTThā
huuñ āḳhir aadmī to
maiñ ḳhud meñ lauT aaya
thī andar raushnī to
faqīrī bechtā huuñ
gañvā dī sarvarī to
zuhal ho yā atārid
hamīñ the mushtarī to
vahī dīvāngī hai
vahī dīvāngī to
hamārī āstīñ meñ
rahe haiñ aap bhī to
ab itnī haḌbaḌī kyoñ
le gaThrī bāñdh lī to
kidhar niklī javānī
abhī tak thī abhī to
yahi surat rahi to
guzar li zindagi to
hai duniya jab ye duniya
rahegi kuchh kami to
ai fursat itni fursat
milun KHud se kabhi to
mujhe be-KHwab kar de
ki so lun do ghaDi to
bas ab ek qahqaha hun
kahin kho di hansi to
lahu aansu ki pani
hai palkon tak nami to
ye main hi chiKH uTTha
hun aaKHir aadmi to
main KHud mein lauT aaya
thi andar raushni to
faqiri bechta hun
ganwa di sarwari to
zuhal ho ya atarid
hamin the mushtari to
wahi diwangi hai
wahi diwangi to
hamari aastin mein
rahe hain aap bhi to
ab itni haDbaDi kyon
le gaThri bandh li to
kidhar nikli jawani
abhi tak thi abhi to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.