yahi tazad to hairan karne wala hai
yahī tazād to hairān karne vaalā hai
kahāñ charāġh rakhā hai kahāñ ujālā hai
maiñ zaḳhm zaḳhm huuñ is vāste nashe meñ huuñ
mujhe batāo haram hai ki ye shivāla hai
ra.īs-e-shahr kā ye ālī-shān bañgla bhī
kisī ġharīb se chhīnā huā nivāla hai
amiir logoñ se mahfūz rakh mire mālik
phir ik ġharīb kī beTī ne ḳhud nikālā hai
unhīñ ke sar pe na gir jā.ūñ āsmāñ ban kar
sitamgaroñ ne mirā naam to uchhālā hai
haiñ intizār meñ taare bhī chāñd bhī vo bhī
sunā hai raat meñ sūraj nikālne vaalā hai
havā kī raah meñ jaltā charāġh hai 'rāhī'
vo kyā bujhegā jise raushnī ne paalā hai
yahi tazad to hairan karne wala hai
kahan charagh rakha hai kahan ujala hai
main zaKHm zaKHm hun is waste nashe mein hun
mujhe batao haram hai ki ye shiwala hai
rais-e-shahr ka ye aali-shan bangla bhi
kisi gharib se chhina hua niwala hai
amir logon se mahfuz rakh mere malik
phir ek gharib ki beTi ne KHud nikala hai
unhin ke sar pe na gir jaun aasman ban kar
sitamgaron ne mera nam to uchhaala hai
hain intizar mein tare bhi chand bhi wo bhi
suna hai raat mein suraj nikalne wala hai
hawa ki rah mein jalta charagh hai 'rahi'
wo kya bujhega jise raushni ne pala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.