yahi to waqt hai dil lene ka lagane ka
yahī to vaqt hai dil lene kā lagāne kā
shabāb phir nahīñ ai dost jā ke aane kā
na aa.e is pe sitam dekhiye bahāne kā
ye abr-o-bād bahāna huā na aane kā
latīf-o-narm-o-subuk huuñ nasīm kī mānind
burā na maane koī mere aane jaane kā
mire shabāb ko yā-rab fasāna honā thā
kahāñ vo husn ki unvāñ ho is fasāne kā
maze se shaiḳh jī angūr khaa.e jaate haiñ
hisāb hogā kisī roz daane daane kā
khaḌe haiñ der se masjid ke sāmne 'mohsin'
zarūr bhūle haiñ rasta sharāb-ḳhāne kā
yahi to waqt hai dil lene ka lagane ka
shabab phir nahin ai dost ja ke aane ka
na aae is pe sitam dekhiye bahane ka
ye abr-o-baad bahana hua na aane ka
latif-o-narm-o-subuk hun nasim ki manind
bura na mane koi mere aane jaane ka
mere shabab ko ya-rab fasana hona tha
kahan wo husn ki unwan ho is fasane ka
maze se shaiKH ji angur khae jate hain
hisab hoga kisi roz dane dane ka
khaDe hain der se masjid ke samne 'mohsin'
zarur bhule hain rasta sharab-KHane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.