yahin chalai thin kal apni kashtiyan humne
yahīñ chalā.ī thiiñ kal apnī kashtiyāñ ham ne
isī ḳharābe meñ dī thiiñ kabhī azaañ ham ne
ḳhudā kī bastī meñ rahte haiñ ik zamāne se
koī zamīn banā.ī na āsmāñ ham ne
vo jis ko kahte haiñ sab hai rag-e-gulū se qarīb
talāsh us ko kiyā hai kahāñ kahāñ ham ne
sitāre jaḌ diye palkoñ se toḌ kar ai dost
banā diyā tire dāman ko āsmāñ ham ne
tumhārī yādeñ basā liiñ haiñ apnī āñkhoñ meñ
tumhāre ġham ko hī samjhā sharīk-e-jāñ ham ne
bahut dinoñ se muqayyad the apnī āñkhoñ meñ
jo tum mile ho to dekhā hai āsmāñ ham ne
takallufāt se ham duur hī rahe 'fārūq'
na phuul dekhe na taare na titliyāñ ham ne
yahin chalai thin kal apni kashtiyan hum ne
isi KHarabe mein di thin kabhi azan hum ne
KHuda ki basti mein rahte hain ek zamane se
koi zamin banai na aasman hum ne
wo jis ko kahte hain sab hai rag-e-gulu se qarib
talash us ko kiya hai kahan kahan hum ne
sitare jaD diye palkon se toD kar ai dost
bana diya tere daman ko aasman hum ne
tumhaari yaaden basa lin hain apni aankhon mein
tumhaare gham ko hi samjha sharik-e-jaan hum ne
bahut dinon se muqayyad the apni aankhon mein
jo tum mile ho to dekha hai aasman hum ne
takallufat se hum dur hi rahe 'faruq'
na phul dekhe na tare na titliyan hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.