yak-ba-yak chhoD ke mano koi tanha TuTe
yak-ba-yak chhoḌ ke maano koī tanhā TuuTe
jaise patjhaḌ meñ koī shāḳh se pattā TuuTe
ab koī had hī nahīñ mere bikhar jaane kī
jo mujhe dekh le vo dekh ke kitnā TuuTe
jaise sāvan kī ghaTā jam ke baras jaa.e hai
tū mire paas meñ aa jaa.e to aisā TuuTe
fikr-o-ehsās kī ye gard bahut chhā.ī hai
aañkh se dhundh chhaTe tab kahīñ nashsha TuuTe
ek muddat huī us ko nahīñ dekhā maiñ ne
ek muddat huī āñkhoñ se ujālā TuuTe
yā mirī niiñd kā ye ḳhvāb ho paiġhām-e-ajal
yā tire sāmne se ḳhvāb kā dariyā TuuTe
terī āvāz har ik dard bayāñ kartī hai
tū agar sāmne aa jaa.e to kitnā TuuTe
dil dhaḌaktā huā mehrāb-e-mohabbat ke qarīb
vo chalā jaa.e to phir dekhiye kyā kyā TuuTe
aisī vīrāniyāñ har ghar ko miTā detī haiñ
jaise marte hue ḳhud ghar meñ akelā TuuTe
ziist meñ aisī hī ik shaam bhī aa jaa.e kabhī
phir mirī yaad meñ ek dam se vo tanhā TuuTe
āsmāñ āñkhoñ kā be-nūr huā jaatā hai
maiñ tirā naam luuñ aur ek sitārā TuuTe
maiñ sar-e-shām du'ā-go huuñ ḳhudā se 'arpit'
vo jo aa jaa.e to is ghar kā añdherā TuuTe
yak-ba-yak chhoD ke mano koi tanha TuTe
jaise patjhaD mein koi shaKH se patta TuTe
ab koi had hi nahin mere bikhar jaane ki
jo mujhe dekh le wo dekh ke kitna TuTe
jaise sawan ki ghaTa jam ke baras jae hai
tu mere pas mein aa jae to aisa TuTe
fikr-o-ehsas ki ye gard bahut chhai hai
aankh se dhundh chhaTe tab kahin nashsha TuTe
ek muddat hui us ko nahin dekha main ne
ek muddat hui aankhon se ujala TuTe
ya meri nind ka ye KHwab ho paigham-e-ajal
ya tere samne se KHwab ka dariya TuTe
teri aawaz har ek dard bayan karti hai
tu agar samne aa jae to kitna TuTe
dil dhaDakta hua mehrab-e-mohabbat ke qarib
wo chala jae to phir dekhiye kya kya TuTe
aisi viraniyan har ghar ko miTa deti hain
jaise marte hue KHud ghar mein akela TuTe
zist mein aisi hi ek sham bhi aa jae kabhi
phir meri yaad mein ek dam se wo tanha TuTe
aasman aankhon ka be-nur hua jata hai
main tera nam lun aur ek sitara TuTe
main sar-e-sham du'a-go hun KHuda se 'arpit'
wo jo aa jae to is ghar ka andhera TuTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.