yak-ba-yak jhum uTha nafs ko ghaarat kar ke
yak-ba-yak jhuum uThā nafs ko ġhārat kar ke
ek darvesh tire haath pe bai'at kar ke
maiñ tirā naam bhī letā nahīñ āsānī meñ
kyā nikaltā kisī mushkil se tilāvat kar ke
dil na ho dar pe lagā.ī huī ghanTī ho miyāñ
bhaag jaate haiñ sabhī log sharārat kar ke
ye jo tājir haiñ inheñ daam ziyāda hī batā
ye ḳharīdeñge mohabbat bhī ri.āyat kar ke
kis ne samjhā hai ubalte hue sūraj kā fusūñ
kaun Duubā hai añdhere meñ saḳhāvat kar ke
terī āñkheñ bhī jalīñ dil bhī siyah-fām huā
kyā milā tujh ko mohabbat meñ ḳhayānat kar ke
har taraf shor hai vahshat hai pareshānī hai
kyā milegā tujhe aise meñ qayāmat kar ke
yak-ba-yak jhum uTha nafs ko ghaarat kar ke
ek darwesh tere hath pe bai'at kar ke
main tera nam bhi leta nahin aasani mein
kya nikalta kisi mushkil se tilawat kar ke
dil na ho dar pe lagai hui ghanTi ho miyan
bhag jate hain sabhi log shararat kar ke
ye jo tajir hain inhen dam ziyaada hi bata
ye KHaridenge mohabbat bhi riayat kar ke
kis ne samjha hai ubalte hue suraj ka fusun
kaun Duba hai andhere mein saKHawat kar ke
teri aankhen bhi jalin dil bhi siyah-fam hua
kya mila tujh ko mohabbat mein KHayanat kar ke
har taraf shor hai wahshat hai pareshani hai
kya milega tujhe aise mein qayamat kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.