yak-ba-yak jo kisi ka KHayal aa gaya
yak-ba-yak jo kisī kā ḳhayāl aa gayā
ruuh be-ḳhud huī dil ko haal aa gayā
dahr se rasm-e-mahr-o-vafā uTh ga.ī
ādamiyyat meñ kaisā zavāl aa gayā
koī dekhe tire husn kī sāhirī
jis ne dekhā tujhe us ko haal aa gayā
paḌ ga.ī jab kisī kī nigāh-e-karam
mere bhauoñ meñ rang-e-kamāl aa gayā
pūchhte kyā ho 'parvez' kī dāstāñ
un kī mahfil se ho kar niDhāl aa gayā
yak-ba-yak jo kisi ka KHayal aa gaya
ruh be-KHud hui dil ko haal aa gaya
dahr se rasm-e-mahr-o-wafa uTh gai
aadamiyyat mein kaisa zawal aa gaya
koi dekhe tere husn ki sahiri
jis ne dekha tujhe us ko haal aa gaya
paD gai jab kisi ki nigah-e-karam
mere bhauon mein rang-e-kamal aa gaya
puchhte kya ho 'parwez' ki dastan
un ki mahfil se ho kar niDhaal aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.