Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yak Thaar u nigar khaDi thi nazar paDi

Qazi Mahmud Behri

yak Thaar u nigar khaDi thi nazar paDi

Qazi Mahmud Behri

MORE BYQazi Mahmud Behri

    yak Thaar uu nigār khaḌī thī nazar paḌī

    yak bul-havas ke haat chaḌī thī nazar paḌī

    kisvat nevī nayan meñ ḳhumārī badan pe jot

    laT khis paTī suuñ mukh pe paḌī thī nazar paḌī

    motī suuñ hor sune se na jānoñ diyā hai kun

    bhar sab apas ke tan kuuñ muḌī thī nazar paḌī

    bālāñ meñ tel bar meñ gulāñ bhar galā sandal

    tambūl adhar pe dhaḌī thī nazar paḌī

    'bahrī' ab us parī parat kuuñ patiyā nako

    baazī kuchh aur bhāñt khaḌī thī nazar paḌī

    yak Thaar u nigar khaDi thi nazar paDi

    yak bul-hawas ke hat chaDi thi nazar paDi

    kiswat newi nayan mein KHumari badan pe jot

    laT khis paTi sun mukh pe paDi thi nazar paDi

    moti sun hor sune se na jaanon diya hai kun

    bhar sab apas ke tan kun muDi thi nazar paDi

    baalan mein tel bar mein gulan bhar gala sandal

    tambul ki adhar pe dhaDi thi nazar paDi

    'bahri' ab us pari ki parat kun patiya nako

    bazi kuchh aur bhant khaDi thi nazar paDi

    Source :
    • Kulliyat-e-Behri
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now