yakka ulaT ke rah gaya ghoDa bhaDak gaya
yakka ulaT ke rah gayā ghoḌā bhaḌak gayā
kaalī saḌak pe chāñd sā chehra chamak gayā
dekhā use to aañkh se parda sarak gayā
sho.ala sā ek jism ke andar lapak gayā
bāhar galī meñ khil ga.iiñ kaliyāñ gulāb kī
jhoñkā havā kā aate hī kamra mahak gayā
mujh par nazar paḌī to vo sharmā ke rah ga.ī
pahlū se us ke uun kā golā luḌhak gayā
koshish ke bāvajūd maiñ bāhar na aa sakā
andar kā silsila to bahut duur tak gayā
maiñ ne hī us ko qatl kiyā thā ye sach hai par
sach sach batā.ūñ merā bhī ik ik pe shak gayā
'alvī' ne aaj din meñ kahānī sunā.ī thī
shāyad isī vajah se maiñ rasta bhaTak gayā
yakka ulaT ke rah gaya ghoDa bhaDak gaya
kali saDak pe chand sa chehra chamak gaya
dekha use to aankh se parda sarak gaya
shoala sa ek jism ke andar lapak gaya
bahar gali mein khil gain kaliyan gulab ki
jhonka hawa ka aate hi kamra mahak gaya
mujh par nazar paDi to wo sharma ke rah gai
pahlu se us ke un ka gola luDhak gaya
koshish ke bawajud main bahar na aa saka
andar ka silsila to bahut dur tak gaya
main ne hi us ko qatl kiya tha ye sach hai par
sach sach bataun mera bhi ek ek pe shak gaya
'alwi' ne aaj din mein kahani sunai thi
shayad isi wajah se main rasta bhaTak gaya
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 72)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.