yaksan lagen hain un ko to dair-o-haram baham
yaksāñ lageñ haiñ un ko to dair-o-haram baham
jo pūjte haiñ dil meñ ḳhudā-o-sanam baham
dekhā to ek sho.ale se ai shaiḳh-o-barhaman
raushan haiñ sham-e-dair o charāġh-e-haram baham
bārīk haiñ dahan se tire vaqt-e-ḳhanda yaar
karte haiñ dīd-e-hastī o sair-e-adam baham
nāseh na ham tirī na hamārī sunegā tū
kyā fā.eda jo bahs kareñ do asam baham
ḳhar-mastiyoñ pe mohtasib aatā hai chal 'baqā'
bāñdheñ ham is himār ke donoñ qadam baham
yaksan lagen hain un ko to dair-o-haram baham
jo pujte hain dil mein KHuda-o-sanam baham
dekha to ek shoale se ai shaiKH-o-barhaman
raushan hain sham-e-dair o charagh-e-haram baham
barik hain dahan se tere waqt-e-KHanda yar
karte hain did-e-hasti o sair-e-adam baham
naseh na hum teri na hamari sunega tu
kya faeda jo bahs karen do asam baham
KHar-mastiyon pe mohtasib aata hai chal 'baqa'
bandhen hum is himar ke donon qadam baham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.