yaksar is pur-amn faza mein jaane kaisa shor khula
yaksar is pur-amn fazā meñ jaane kaisā shor khulā
chīḳh uThā ḳhāmosh gaDariyā jangal jaagā shor khulā
duur se dekh ke lagtā thā ḳhāmosh rahegā aise hī
jab dariyā meñ utar ga.e to ham par us kā shor khulā
shoḳh tabī'at thī apnī aur bāteñ ḳhatm na hotī thiiñ
chup ke mā'nī khul ga.e ham par ik din aisā shor khulā
ḳhāmoshī to samajh ga.e the ḳhud se pahle vāloñ kī
lekin baa'd meñ aane vāloñ par na hamārā shor khulā
āḳhir ham ne ḳhud ko bharne kī bandish pe ġhaur kiyā
ḳhālī-pan meñ khol chuke the ham se jitnā shor khulā
yaksar is pur-amn faza mein jaane kaisa shor khula
chiKH uTha KHamosh gaDariya jangal jaga shor khula
dur se dekh ke lagta tha KHamosh rahega aise hi
jab dariya mein utar gae to hum par us ka shor khula
shoKH tabi'at thi apni aur baaten KHatm na hoti thin
chup ke ma'ni khul gae hum par ek din aisa shor khula
KHamoshi to samajh gae the KHud se pahle walon ki
lekin ba'd mein aane walon par na hamara shor khula
aaKHir hum ne KHud ko bharne ki bandish pe ghaur kiya
KHali-pan mein khol chuke the hum se jitna shor khula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.