yaqin gum ho chuka humse guman mahfuz rakkha hai
yaqīñ gum ho chukā ham se gumāñ mahfūz rakkhā hai
ḳhayāl-o-ḳhvāb sā rañgīñ jahāñ mahfūz rakkhā hai
huā mismār sab lekin jahāñ tum ghar banāte the
vo dil kā ek TukḌā jān-e-jāñ mahfūz rakkhā hai
shikasta ho chuke jal bujh chuke tārīḳh shāhid hai
fazāoñ meñ magar ab tak dhuāñ mahfūz rakkhā hai
zamīñ par jo bhī mumkin thā vo sab kuchh kar liyā yārab
hai ham se duur terā āsmāñ mahfūz rakkhā hai
nahīñ mumkin magar yuuñ bhī huā dil ke samundar meñ
huī ġharqāb kashtī bādbāñ mahfūz rakkhā hai
yaqin gum ho chuka hum se guman mahfuz rakkha hai
KHayal-o-KHwab sa rangin jahan mahfuz rakkha hai
hua mismar sab lekin jahan tum ghar banate the
wo dil ka ek TukDa jaan-e-jaan mahfuz rakkha hai
shikasta ho chuke jal bujh chuke tariKH shahid hai
fazaon mein magar ab tak dhuan mahfuz rakkha hai
zamin par jo bhi mumkin tha wo sab kuchh kar liya yarab
hai hum se dur tera aasman mahfuz rakkha hai
nahin mumkin magar yun bhi hua dil ke samundar mein
hui gharqab kashti baadban mahfuz rakkha hai
- Book : Aadhi Raat Ki Shabnam (Pg. 124)
- Author : Marghoob Ali
- Publication : Takhleeqkar Publishers (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.