yaqin jata raha eatibar KHatm hua
yaqīn jaatā rahā e.atibār ḳhatm huā
tumhāre ishq kā saarā ḳhumār ḳhatm huā
kahāñ se lā.ūñ vo hangāma-hā-e-ishq-o-junūñ
vo sho.ala-āsā dil-e-be-qarār ḳhatm huā
nikal rahā huuñ tire halqa-e-mohabbat se
ki gard baiTh chukī aur ġhubār ḳhatm huā
jahāñ bahāreñ thiiñ apnoñ kī chahchahāhaT thī
vo be-charāġh paḌā sabza-zār ḳhatm huā
lagā ke aag ka.ī mehrbān chalte bane
hamāre shahr kā sab kārobār ḳhatm huā
ḳhizāñ kā daur hai shāḳhoñ pe barg-o-bār nahīñ
tumhāre jaate hī ahd-e-bahār ḳhatm huā
yaqin jata raha eatibar KHatm hua
tumhaare ishq ka sara KHumar KHatm hua
kahan se laun wo hangama-ha-e-ishq-o-junun
wo shoala-asa dil-e-be-qarar KHatm hua
nikal raha hun tere halqa-e-mohabbat se
ki gard baiTh chuki aur ghubar KHatm hua
jahan bahaaren thin apnon ki chahchahahaT thi
wo be-charagh paDa sabza-zar KHatm hua
laga ke aag kai mehrban chalte bane
hamare shahr ka sab karobar KHatm hua
KHizan ka daur hai shaKHon pe barg-o-bar nahin
tumhaare jate hi ahd-e-bahaar KHatm hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.