yaqin ka rang bhi hai wahm ka ghubar bhi hai
yaqīñ kā rang bhī hai vahm kā ġhubār bhī hai
fareb-e-husn-e-nazar dasht-e-e.atibār bhī hai
ḳhizāñ kā rang bhī hai mo'atabar chaman ke liye
ye husn-e-gul hai jo minnat-kash-e-bahār bhī hai
asīr-e-vahm-o-gumāñ hai na jaane kab se nigāh
agarche pesh-e-nazar harf-e-e'tibār bhī hai
ye maiñ ne maanā sukūñ maut kī alāmat hai
magar sukūñ ke liye dil hī be-qarār bhī hai
rukī rukī sī agarche hai kā.enāt kī nabz
bikharte TūTte lamhoñ kā intishār bhī hai
ajiib turfa-tamāsha hai is ko kyā kahiye
ki dil-figār bhī 'manzar' vafā-shi.ār bhī hai
yaqin ka rang bhi hai wahm ka ghubar bhi hai
fareb-e-husn-e-nazar dasht-e-eatibar bhi hai
KHizan ka rang bhi hai mo'atabar chaman ke liye
ye husn-e-gul hai jo minnat-kash-e-bahaar bhi hai
asir-e-wahm-o-guman hai na jaane kab se nigah
agarche pesh-e-nazar harf-e-e'tibar bhi hai
ye main ne mana sukun maut ki alamat hai
magar sukun ke liye dil hi be-qarar bhi hai
ruki ruki si agarche hai kaenat ki nabz
bikharte TuTte lamhon ka intishaar bhi hai
ajib turfa-tamasha hai is ko kya kahiye
ki dil-figar bhi 'manzar' wafa-shiar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.