yaqin kaise kaise guman kaise kaise
yaqīñ kaise kaise gumāñ kaise kaise
haiñ ābād mujh meñ jahāñ kaise kaise
falak par milīñ kaisī kaisī zamīneñ
zamīn par hue āsmāñ kaise kaise
ubhar aa.e dhartī pe kyā kyā jazīre
samundar hue be nishāñ kaise kaise
zamāne ne bo.e haiñ sahrā-o-dariyā
tire aur mire darmiyāñ kaise kaise
javānī se labrez muflis badan par
uThīñ vaqt kī uñgliyāñ kaise kaise
mire daur kī ḳhushnumā bastiyoñ meñ
mile jañgaloñ ke nishāñ kaise kaise
mirī soch ke dilrubā sāhiloñ par
utarte rahe kārvāñ kaise kaise
ḳhizāoñ meñ bhī lahlahātī rahī haiñ
tirī yaad kī titliyāñ kaise kaise
tirī baat har din sunātī haiñ mujh ko
sahar kī dil-āveziyāñ kaise kaise
tire vasl meñ jo jo bolā kiye hai
to dhaḌkā kiye hai zabāñ kaise kaise
javānī ne dil kaise kaise jagāyā
buḌhāpe ne diiñ loriyāñ kaise kaise
'rafī.a' aur 'iqbāl' kī sarzamīñ par
ġhazal-ḳhvāñ haiñ ahl-e-zabāñ kaise kaise
yaqin kaise kaise guman kaise kaise
hain aabaad mujh mein jahan kaise kaise
falak par milin kaisi kaisi zaminen
zamin par hue aasman kaise kaise
ubhar aae dharti pe kya kya jazire
samundar hue be nishan kaise kaise
zamane ne boe hain sahra-o-dariya
tere aur mere darmiyan kaise kaise
jawani se labrez muflis badan par
uThin waqt ki ungliyan kaise kaise
mere daur ki KHushnuma bastiyon mein
mile jangalon ke nishan kaise kaise
meri soch ke dilruba sahilon par
utarte rahe karwan kaise kaise
KHizaon mein bhi lahlahati rahi hain
teri yaad ki titliyan kaise kaise
teri baat har din sunati hain mujh ko
sahar ki dil-aweziyan kaise kaise
tere wasl mein jo jo bola kiye hai
to dhaDka kiye hai zaban kaise kaise
jawani ne dil kaise kaise jagaya
buDhape ne din loriyan kaise kaise
'rafia' aur 'iqbaal' ki sarzamin par
ghazal-KHwan hain ahl-e-zaban kaise kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.