yaqin KHud ko dilane mein abhi kuchh din lagenge
yaqīñ ḳhud ko dilāne meñ abhī kuchh din lageñge
tumheñ yaksar bhulāne meñ abhī kuchh din lageñge
ḳhizāñ kī shiddatoñ se ḳhāl-o-ḳhad bujh se ga.e haiñ
so phir se muskurāne meñ abhī kuchh din lageñge
yahāñ boī ga.ī haiñ dukh kī bārūdī surañgeñ
na.ī fasleñ ugāne meñ abhī kuchh din lageñge
ye bastī muddatoñ sartān kī zad meñ rahī hai
ise phir se basāne meñ abhī kuchh din lageñge
javānī ek mahbūba hai aur nārāz bhī hai
ise thoḌā manāne meñ abhī kuchh din lageñge
shu.ūr-e-zabt kā har marhala behad kaḌā hai
so tasvīreñ jalāne meñ abhī kuchh din lageñge
yaqin KHud ko dilane mein abhi kuchh din lagenge
tumhein yaksar bhulane mein abhi kuchh din lagenge
KHizan ki shiddaton se KHal-o-KHad bujh se gae hain
so phir se muskurane mein abhi kuchh din lagenge
yahan boi gai hain dukh ki barudi surangen
nai faslen ugane mein abhi kuchh din lagenge
ye basti muddaton sartan ki zad mein rahi hai
ise phir se basane mein abhi kuchh din lagenge
jawani ek mahbuba hai aur naraaz bhi hai
ise thoDa manane mein abhi kuchh din lagenge
shuur-e-zabt ka har marhala behad kaDa hai
so taswiren jalane mein abhi kuchh din lagenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.