yaqin ki had se jo nikle guman tak pahunche
yaqīñ kī had se jo nikle gumān tak pahuñche
taḳhayyulāt kī ūñchī uḌaan tak pahuñche
use bhī thoḌā sā ehsās-e-zulm ho jaa.e
palaT ke tiir koī gar kamān tak pahuñche
na vo hī paḌh sakā āñkhoñ meñ merī haal merā
na lafz dil ke hī merī zabān tak pahuñche
bhalā ye fan hai ke hāsil riyāz se ho jaa.e
kabhī to koī du'ā āsmān tak pahuñche
'ajab sī be-hisī miTTī ke is makān meñ thī
so jism chhoḌ diyā lā-makān tak pahuñche
kitāb-e-zīst ke aurāq khul uThe jis dam
vo paḌhte paḌhte mirī dāstān tak pahuñche
yaqin ki had se jo nikle guman tak pahunche
taKHayyulat ki unchi uDan tak pahunche
use bhi thoDa sa ehsas-e-zulm ho jae
palaT ke tir koi gar kaman tak pahunche
na wo hi paDh saka aankhon mein meri haal mera
na lafz dil ke hi meri zaban tak pahunche
bhala ye fan hai ke hasil riyaz se ho jae
kabhi to koi du'a aasman tak pahunche
'ajab si be-hisi miTTi ke is makan mein thi
so jism chhoD diya la-makan tak pahunche
kitab-e-zist ke auraq khul uThe jis dam
wo paDhte paDhte meri dastan tak pahunche
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.