yaqin ki ret pe Khaali sarab bunti hun
yaqīñ kī ret pe ḳhālī sarāb buntī huuñ
jhalaktī aañkh meñ an-dekhe ḳhvāb buntī huuñ
mire vajūd kī zulmat pe bolne vaale
maiñ diida tar se ka.ī āftāb buntī huuñ
ye dhuup chaah kī jhulsā na de kahīñ mujh ko
tumhārī yaad se aksar sahāb buntī huuñ
huuñ rasan-o-dār ke qābil hai e'tirāf mujhe
ki ratjagoñ kī sifārish pe ḳhvāb buntī huuñ
tū mere paas mahaktā hai ḳhushbuoñ kī tarah
tire rumāl pe jab jab gulāb buntī huuñ
yaqin ki ret pe KHali sarab bunti hun
jhalakti aankh mein an-dekhe KHwab bunti hun
mere wajud ki zulmat pe bolne wale
main dida tar se kai aaftab bunti hun
ye dhup chah ki jhulsa na de kahin mujh ko
tumhaari yaad se aksar sahab bunti hun
hun rasan-o-dar ke qabil hai e'tiraf mujhe
ki ratjagon ki sifarish pe KHwab bunti hun
tu mere pas mahakta hai KHushbuon ki tarah
tere rumal pe jab jab gulab bunti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.