yaqin kyunkar na karte ho
yaqīñ kyūñkar na karte ho
darūn-e-dil dhaḌakte ho
hamārā mas.ala samjho
mohabbat ko samajhte ho
nizām-e-kun kī hairat ko
faqat hairat samajhte ho
hamīñ ne ḳhuun thūkā hai
hamīñ pe aah bharte ho
sunā āñkhoñ kī vīrānī
ko tum sapnoñ se bharte ho
hamārī raah sīdhī hai
tabhī to raah takte ho
dil-e-mashkīza-e-jāñ meñ
mahakte the mahakte ho
kisī pe ham bhī marte haiñ
kisī pe tum bhī marte ho
yaqin kyunkar na karte ho
darun-e-dil dhaDakte ho
hamara masala samjho
mohabbat ko samajhte ho
nizam-e-kun ki hairat ko
faqat hairat samajhte ho
hamin ne KHun thuka hai
hamin pe aah bharte ho
suna aankhon ki virani
ko tum sapnon se bharte ho
hamari rah sidhi hai
tabhi to rah takte ho
dil-e-mashkiza-e-jaan mein
mahakte the mahakte ho
kisi pe hum bhi marte hain
kisi pe tum bhi marte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.