yaqin mano ye mere honT yun nile nahin hote
yaqīñ maano ye mere hoñT yuuñ niile nahīñ hote
agar ye log sāñpoñ se bhī zahrīle nahīñ hote
agar har baat par maiñ in kī haañ meñ haañ milā detā
mire yāroñ ke lahje itne nokīle nahīñ hote
koī to baat aisī hai jise ham se chhupāte ho
ye palkoñ ke kināre be-sabab giile nahīñ hote
agar maiñ haq-parastī chhoḌ kar bātil se mil jaatā
mire rastoñ meñ phuul hote ye pathrīle nahīñ hote
sitāroñ par kamandeñ Dālne kā kyā koī soche
yahāñ to beTiyoñ ke haath hī piile nahīñ hote
maiñ ik pal meñ banātā huuñ anāoñ ke pahāḌ 'az.har'
par agle pal ye saare ret ke Tiile nahīñ hote
yaqin mano ye mere honT yun nile nahin hote
agar ye log sanpon se bhi zahrile nahin hote
agar har baat par main in ki han mein han mila deta
mere yaron ke lahje itne nokile nahin hote
koi to baat aisi hai jise hum se chhupate ho
ye palkon ke kinare be-sabab gile nahin hote
agar main haq-parasti chhoD kar baatil se mil jata
mere raston mein phul hote ye pathrile nahin hote
sitaron par kamanden Dalne ka kya koi soche
yahan to beTiyon ke hath hi pile nahin hote
main ek pal mein banata hun anaon ke pahaD 'azhar'
par agle pal ye sare ret ke Tile nahin hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.