yaqin shart hai aur lazmi hain tadbiren
yaqīn shart hai aur lāzmī haiñ tadbīreñ
har ek lamha badaltī raheñgī taqdīreñ
sabhī charāġh bujhā do huā hai dil raushan
dikhā.ī dene lagī haiñ tamām tahrīreñ
zarā sā vaqt lagegā qadam uThāne meñ
abhī abhī to kaTī haiñ saqīl zanjīreñ
vo ḳhvāb kuchh bhī nahīñ haiñ faqat tamāshā haiñ
vo ḳhvāb jin kī nahīñ jāntā maiñ ta.abīreñ
mire qalam kā safar le gayā sitāroñ tak
mire buzurg kī ab bhī vahī haiñ tahrīreñ
hamārī jañg meñ 'jāved' ḳhuuñ nahīñ bahtā
hamāre paas haiñ fikr-o-nazar kī shamshīreñ
yaqin shart hai aur lazmi hain tadbiren
har ek lamha badalti rahengi taqdiren
sabhi charagh bujha do hua hai dil raushan
dikhai dene lagi hain tamam tahriren
zara sa waqt lagega qadam uThane mein
abhi abhi to kaTi hain saqil zanjiren
wo KHwab kuchh bhi nahin hain faqat tamasha hain
wo KHwab jin ki nahin jaanta main tabiren
mere qalam ka safar le gaya sitaron tak
mere buzurg ki ab bhi wahi hain tahriren
hamari jang mein 'jawed' KHun nahin bahta
hamare pas hain fikr-o-nazar ki shamshiren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.