yaqin un pe lane ko ji chahta hai
yaqīñ un pe laane ko jī chāhtā hai
fareboñ meñ aane ko jī chāhtā hai
sitāroñ meñ o duur se hañsne vaale
tire paas aane ko jī chāhtā hai
ba-zor-e-niyāz āstāñ ko kisī ke
jabīñ tak bulāne ko jī chāhtā hai
mohabbat meñ itnā huuñ mahv-e-mohabbat
unheñ bhī bhulāne ko jī chāhtā hai
hasīñ jis ke din hoñ hasīñ jis kī rāteñ
vo duniyā basāne ko jī chāhtā hai
qasam hai tujhe muskurā be-takalluf
miTā gar miTāne ko jī chāhtā hai
jahāñ tum farozāñ nazar aa rahe ho
vahīñ jagmagāne ko jī chāhtā hai
hai jis meñ ḳhud apnī tajallī kā dhokā
vo parda uThāne ko jī chāhtā hai
salāmat rahe rif.at-e-ishq hamdam
kahāñ sar jhukāne ko jī chāhtā hai
dam-e-sub.h lab-basta kaliyoñ ko jā kar
'shifā' gudgudāne ko jī chāhtā hai
yaqin un pe lane ko ji chahta hai
farebon mein aane ko ji chahta hai
sitaron mein o dur se hansne wale
tere pas aane ko ji chahta hai
ba-zor-e-niyaz aastan ko kisi ke
jabin tak bulane ko ji chahta hai
mohabbat mein itna hun mahw-e-mohabbat
unhen bhi bhulane ko ji chahta hai
hasin jis ke din hon hasin jis ki raaten
wo duniya basane ko ji chahta hai
qasam hai tujhe muskura be-takalluf
miTa gar miTane ko ji chahta hai
jahan tum farozan nazar aa rahe ho
wahin jagmagane ko ji chahta hai
hai jis mein KHud apni tajalli ka dhoka
wo parda uThane ko ji chahta hai
salamat rahe rifat-e-ishq hamdam
kahan sar jhukane ko ji chahta hai
dam-e-subh lab-basta kaliyon ko ja kar
'shifa' gudgudane ko ji chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.