yaqin yahi hai ki sab kuchh guman hai pyare
yaqīñ yahī hai ki sab kuchh gumān hai pyāre
aur is gumān meñ saarā jahān hai pyāre
uḌaa.e rakhtī hai vaise to gard-bād magar
yahāñ pe mas.ala sab kā uḌaan hai pyāre
tumhāre baa'd na jaane ho qarya-e-dil kyā
abhī talak to ye jā-e-amān hai pyāre
jahāñ bhī jaao mohabbat se bol kar dekho
ye har 'ilāqe kī pahlī zabān hai pyāre
rakho ik 'ahd kī duurī pe hijr kā ḳhanjar
ye jaan vasl ko sahne kī jaan hai pyāre
yaqin yahi hai ki sab kuchh guman hai pyare
aur is guman mein sara jahan hai pyare
uDae rakhti hai waise to gard-baad magar
yahan pe masala sab ka uDan hai pyare
tumhaare ba'd na jaane ho qarya-e-dil kya
abhi talak to ye ja-e-aman hai pyare
jahan bhi jao mohabbat se bol kar dekho
ye har 'ilaqe ki pahli zaban hai pyare
rakho ek 'ahd ki duri pe hijr ka KHanjar
ye jaan wasl ko sahne ki jaan hai pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.