yaqinan koi gahra rabta hai
yaqīnan koī gahrā rābta hai
vo jo muḌ muḌ ke mujh ko dekhtā hai
nikal kar jā nahīñ saktā kahīñ bhī
rag-o-pai meñ vo merī ghūmtā hai
hai kaun apnā parāyā is jahāñ meñ
parakhne se ye andāza huā hai
havā se ḳhushk patte naġhma-zan the
tirī aahaT kā dhokā ho gayā hai
muqaddar kā ham apne khā rahe haiñ
kisī kā rizq kab chhīnā huā hai
mujhe murda na samjho ġhāfilo tum
ragoñ meñ ḳhuun merī dauḌtā hai
batātā hai mirā rahbar usī ko
jo rasta ḳhud mirā dekhā huā hai
kiyā hābīl ne qābīl kā ḳhuuñ
yahī duniyā meñ pahlā sāneha hai
miTātā hai vo merā naam likh kar
ki jaise uñgliyoñ se kheltā hai
mujhe mujrim kahā hai 'yās' us ne
batā.e vo ki aisā kyā kiyā hai
yaqinan koi gahra rabta hai
wo jo muD muD ke mujh ko dekhta hai
nikal kar ja nahin sakta kahin bhi
rag-o-pai mein wo meri ghumta hai
hai kaun apna paraya is jahan mein
parakhne se ye andaza hua hai
hawa se KHushk patte naghma-zan the
teri aahaT ka dhoka ho gaya hai
muqaddar ka hum apne kha rahe hain
kisi ka rizq kab chhina hua hai
mujhe murda na samjho ghafilo tum
ragon mein KHun meri dauDta hai
batata hai mera rahbar usi ko
jo rasta KHud mera dekha hua hai
kiya habil ne qabil ka KHun
yahi duniya mein pahla saneha hai
miTata hai wo mera nam likh kar
ki jaise ungliyon se khelta hai
mujhe mujrim kaha hai 'yas' us ne
batae wo ki aisa kya kiya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.