yaqinan rang laegi dua aahista aahista
yaqīnan rang lā.egī duā āhista āhista
karegā bevafā bhī ab vafā āhista āhista
gunāhoñ kī vabā se bhī nahīñ sharminda ye aalam
utāregā azaab apne ḳhudā āhista āhista
sabhī zaḳhmoñ ko us ne phir hamāre kar diyā taaza
chalī hai aaj yuuñ bād-e-sabā āhista āhista
maiñ kaise sakte meñ āḳhir khaḌā huuñ biich raste meñ
koī detā hai phir mujh ko sadā āhista āhista
na chhoḌo haath se kuchh din abhī aur sabr kā dāman
pahuñchtī hai falak par bhī duā āhista āhista
yahāñ mīzā.iloñ kī bārisheñ hone lagīñ 'saifī'
ye duniyā ho hī jā.egī fanā āhista āhista
yaqinan rang laegi dua aahista aahista
karega bewafa bhi ab wafa aahista aahista
gunahon ki waba se bhi nahin sharminda ye aalam
utarega azab apne KHuda aahista aahista
sabhi zaKHmon ko us ne phir hamare kar diya taza
chali hai aaj yun baad-e-saba aahista aahista
main kaise sakte mein aaKHir khaDa hun bich raste mein
koi deta hai phir mujh ko sada aahista aahista
na chhoDo hath se kuchh din abhi aur sabr ka daman
pahunchti hai falak par bhi dua aahista aahista
yahan mizailon ki barishen hone lagin 'saifi'
ye duniya ho hi jaegi fana aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.