ye aabru ye shan ye tewar bacha ke rakh
ye aabrū ye shaan ye tevar bachā ke rakh
dil ko tū ḳhvāhishoñ se qalandar bachā ke rakh
mahloñ kī fikr chhoḌ ki barsāt hai qarīb
āñdhī se apnā phuus kā chhappar bachā ke rakh
chāroñ taraf hai aag chaman meñ lagī huī
apnā vajūd mom ke paikar bachā ke rakh
kangāl kar na de tujhe qatroñ kī parvarish
kuchh apne paas bhī to samundar bachā ke rakh
mujh par na ḳhatm hogā sadāqat kā silsila
tarkash meñ apne tiir sitamgar bachā ke rakh
badlī huī hai vaqt kī raftār āj-kal
zauq-e-safar ko vaqt ke rahbar bachā ke rakh
parkhegā vaqt tujh ko kasauTī pe baar baar
'anvar-kamāl’ apne tū jauhar bachā ke rakh
ye aabru ye shan ye tewar bacha ke rakh
dil ko tu KHwahishon se qalandar bacha ke rakh
mahlon ki fikr chhoD ki barsat hai qarib
aandhi se apna phus ka chhappar bacha ke rakh
chaaron taraf hai aag chaman mein lagi hui
apna wajud mom ke paikar bacha ke rakh
kangal kar na de tujhe qatron ki parwarish
kuchh apne pas bhi to samundar bacha ke rakh
mujh par na KHatm hoga sadaqat ka silsila
tarkash mein apne tir sitamgar bacha ke rakh
badli hui hai waqt ki raftar aaj-kal
zauq-e-safar ko waqt ke rahbar bacha ke rakh
parkhega waqt tujh ko kasauTi pe bar bar
'anwar-kamal’ apne tu jauhar bacha ke rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.