ye aagahi hai jo karti hai mujhko zat mein gum
ye āgahī hai jo kartī hai mujh ko zaat meñ gum
phir is ke baa'd maiñ hotā huuñ shash-jihāt meñ gum
ye kā.enāt mirī jaan qufl-e-abjad hai
maiñ kholtā huuñ ise karke mumkināt meñ gum
ye dā.ere haiñ tumheñ phir se qaid kar leñge
fanā se nikle to ho jāoge sabāt meñ gum
maiñ karbalā huuñ mujhe dekh merī qāmat dekh
zamāna kar nahīñ saktā mujhe furāt meñ gum
tirī judā.ī kā nīlam alag se rakkhā hai
kiyā nahīñ ise duniyā ke zevarāt meñ gum
mirā buḌhāpā mirī ruuh kī talāsh meñ hai
mirī javānī badan ke lavāzimāt meñ gum
maiñ 'ilm huuñ mujhe tasḳhīr karnā aatā hai
vo jahl thā jo huā terī kā.enāt meñ gum
ye aagahi hai jo karti hai mujh ko zat mein gum
phir is ke ba'd main hota hun shash-jihat mein gum
ye kaenat meri jaan qufl-e-abjad hai
main kholta hun ise karke mumkinat mein gum
ye daere hain tumhein phir se qaid kar lenge
fana se nikle to ho jaoge sabaat mein gum
main karbala hun mujhe dekh meri qamat dekh
zamana kar nahin sakta mujhe furaat mein gum
teri judai ka nilam alag se rakkha hai
kiya nahin ise duniya ke zewaraat mein gum
mera buDhapa meri ruh ki talash mein hai
meri jawani badan ke lawazimat mein gum
main 'ilm hun mujhe tasKHir karna aata hai
wo jahl tha jo hua teri kaenat mein gum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.