ye āh-e-parda-dar aisī huī adū merī
habāb ho ga.ī āḳhir ko aabrū merī
na apnī ḳhud-ġharzī hai na hī shikāyat-e-dost
hai ishq-o-husn ke mābain guftugū merī
koī nikalne na degā zamīn ho ki falak
zamāne-bhar ke muqābil hai aarzū merī
qinā ke ba.ad maiñ detā nahīñ kisī ko javāb
sifat thī aap kī jo ab huī vo ḳhuuñ merī
zabāñ hile na hile dil hile to kaam chale
ye zalzala ho to aa jaa.e guftugū merī
bhulā diyā mujhe tū ne tujhe maiñ kho baiThā
na maiñ tirā huā ai zindagī na tū merī
mujhe zamāne se shikva nahīñ ki behis hai
samajhne vaale samajhte haiñ guftugū merī
mire karīm mirī sharm hashr meñ rakh le
araq ke saath Tapaktī hai aabrū merī
ye ek vādī-e-pur-ḳhār-e-ishq thī 'sāqib'
ulajh ke rah ga.ī har dil meñ guftugū merī
ye aah-e-parda-dar aisi hui adu meri
habab ho gai aaKHir ko aabru meri
na apni KHud-gharzi hai na hi shikayat-e-dost
hai ishq-o-husn ke mabain guftugu meri
koi nikalne na dega zamin ho ki falak
zamane-bhar ke muqabil hai aarzu meri
qina ke baad main deta nahin kisi ko jawab
sifat thi aap ki jo ab hui wo KHun meri
zaban hile na hile dil hile to kaam chale
ye zalzala ho to aa jae guftugu meri
bhula diya mujhe tu ne tujhe main kho baiTha
na main tera hua ai zindagi na tu meri
mujhe zamane se shikwa nahin ki behis hai
samajhne wale samajhte hain guftugu meri
mere karim meri sharm hashr mein rakh le
araq ke sath Tapakti hai aabru meri
ye ek wadi-e-pur-KHar-e-ishq thi 'saqib'
ulajh ke rah gai har dil mein guftugu meri
Source :
- Book : Deewan-e-Saqib (Pg. 347)
- Author : Mirza Zakir Husain Qazlibaas Saqib Lucknowvi
-
Publication : Urdu Acadami U.P.
(1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.