ye aaj aae hain kis ajnabi se des mein hum
ye aaj aae hain kis ajnabi se des mein hum
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
MORE BYSufi Ghulam Mustafa Tabassum
ye aaj aa.e haiñ kis ajnabī se des meñ ham
taḌap ga.ī hai nazar chashm-e-āshnā ke liye
vo haath jin se thā kal chaak dāman-e-aflāk
vo haath aaj uThāne paḌe duā ke liye
ye maiñ ne maanā judā.ī mirā muqaddar hai
magar ye baat na muñh se kaho ḳhudā ke liye
ye rāh-rau the kabhī rāh-e-zindagī kā surāġh
ye rāh-rau ki bhaTakte haiñ rahnumā ke liye
ye aaj aae hain kis ajnabi se des mein hum
taDap gai hai nazar chashm-e-ashna ke liye
wo hath jin se tha kal chaak daman-e-aflak
wo hath aaj uThane paDe dua ke liye
ye main ne mana judai mera muqaddar hai
magar ye baat na munh se kaho KHuda ke liye
ye rah-rau the kabhi rah-e-zindagi ka suragh
ye rah-rau ki bhaTakte hain rahnuma ke liye
- Book : Nuquush Lahore (Pg. 207)
- Author : Mohd Tufail
- Publication : Idara Farog-e-urdu, Lahore (Feb.1956)
- Edition : Feb.1956
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.