ye aaKHiri zahmat hai zara aur Thahar jaen
ye āḳhirī zahmat hai zarā aur Thahar jaa.eñ
bīmār idhar jaa.e to phir aap udhar jaa.eñ
yuuñ zulmat-e-shab meñ chamak uThte haiñ sitāre
jis tarah se ma.asūm bharī niiñd meñ Dar jaa.eñ
achchhā terī mahfil se chale jaate haiñ lekin
ye aur batā de ki kahāñ jaa.eñ kidhar jaa.eñ
ai dast-e-junūñ dīda-e-ḳhūñ-bār kī sunñā
dāman meñ jo motī haiñ kahīñ vo na bikhar jaa.eñ
is daur ke mansūr ye rakhte haiñ karāmāt
sau baar chaḌheñ daar pe sau baar utar jaa.eñ
dāman ko chhuḌā kar na ho maġhrūr idhar dekh
gar haath uThā duuñ mah-o-ḳhurshīd Thahar jaa.eñ
jam.īyat-e-ḳhātir ke liye bas hai tirā dhyān
kyoñ aise ḳhayālāt sameTūñ jo bikhar jaa.eñ
ye aaKHiri zahmat hai zara aur Thahar jaen
bimar idhar jae to phir aap udhar jaen
yun zulmat-e-shab mein chamak uThte hain sitare
jis tarah se masum bhari nind mein Dar jaen
achchha teri mahfil se chale jate hain lekin
ye aur bata de ki kahan jaen kidhar jaen
ai dast-e-junun dida-e-KHun-bar ki sunna
daman mein jo moti hain kahin wo na bikhar jaen
is daur ke mansur ye rakhte hain karamat
sau bar chaDhen dar pe sau bar utar jaen
daman ko chhuDa kar na ho maghrur idhar dekh
gar hath uTha dun mah-o-KHurshid Thahar jaen
jamiyat-e-KHatir ke liye bas hai tera dhyan
kyon aise KHayalat sameTun jo bikhar jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.